Faqt itni see khawahish hay kay muje apna batana tum…
khazan kee udaasi ha jo ab tak dil nain chai ha
baharon ka haseen mosam kahi say sath lana tum
ye mana kay aur be jahan main hain tum ko bohat say gham
magar dunia kay melon main mat bhool jana hamain tum
main ashar hain jitnay sab tumharay naam karta hoo
ghazal meri suno jab ghazal main doob jana tum
agar tum say kabi koi meray baray main pochay to
faqt itni see khawahish ha muje apna batana tum
koi jab alwidai mosmon ka zikar cheray to
nami ankhon main mat rakhna hamesha muskurana tum
…………………………………………
Faraq main laztain hain itni to sochta hoo
wasaal us ka naseeb ho ga to kiya banay ga
jo door reh kar harart-e- jaan bana huwa ha
wo shaksh meray qareeb aye ga to kiya banay ga
……………………………………………..
Saari baat talauk wali jazbon kee sachai talk ha
mal dilon main a jaye to ghar veraan ho jatay hain
jhonprion main har ek talkhi peda hotay he mil jati ha
isi liye to wakt say pehlay Aamir baray keh jatay hain
……………………………………………………
Had say barh kar chahnay walay kitnay tanha hotay hain
had say barh kar chaha ajj hamain maloom huwa
jagti ankhon say sapnay dekhain pagal aur deewanay log
jagti ankhon say sapna dekhna aj hamin maloom huwa
……………………………………………..
koi shaam pass nahe rahee
koi in udaas nahe raha
teray ishq main meray dil kee sari riaztain
kisi gehri duund main kho gayi
muje meray ukh main dobo gayi
………………………………………………..
Welcome to Authspot, the spot for creative writing.
Read some stories and poems, and be sure to subscribe to our feed!