Dard.
Shamon ke har ek suhbat day kar
Loge to do kori ba na dain
Par ham nay bari qeemat day kar ek dard khareeda tha
so ab usi dard say dil lagaye baithay hain
…………………………………………………………………………….
faseel-nafrat gira rahee hoon
gaye dino ko bhula rahee hoon
wo apnay waday say phr gaya ha
par main apnay waday nibha rahee hoon
kahi milay to usay kehna
na dil main koi milal rakhay
hamesha apna khiyal rakhay
apnay saray gham muje day day
tamam khushian sanbhal rakhay
kahi milay to usay kehna
…………………………………………………………………………………….
Main hosh main tha to phir us par mar gaya kasay
ye zehar main lahoo main utar gaya kasiay
kuch us kay dil main lagawat zaroor thi warna
wo mera hath daba kar guzar gaya kaisay
zaroor us kee tawajah kee dilbari ho gee warna
nshay main he tha to main apnay ghar aa gaya kaisay
jisay bhulaye kai saal ho gaye Aamir
main ajj us kee gali say guzar gaya kasay
…………………………………………………………………..
Mohabbat
Kion mohabbat udass rehti ha
kion mohabbat malool rehti ha
ghamzada ghamzada see phirti ha
aansu peeti ha aur jeeti ha
piyas phir be kabi nahi bujti
zard rut main dukhon kay mosam main
wusal kay intzaar main chal kay
hont see kay judai ko seh kay
bas ghamon main rehti ha
mohabbat udaas rehti ha
……………………………………………………………………………….
By Aamir Saleem
00923338367089
Welcome to Authspot, the spot for creative writing.
Read some stories and poems, and be sure to subscribe to our feed!