Ham mot kee dehleez par hain jana ha hamin.
Mohabbat ka meri muj say hisaab mangta ha
tamam umar ka muj say nisaab mangta ha
jin logon ko main janta nahe
un logon kay muj alqaab mangta ha
un kay qadmon main khishion ko zer kar doo
pagal un cheezon ka jawaz mangta ha
hazar baar kaha ha piyar ha tum say
meray piyar ka muj say iqraar mangta ha
har sawall kay jawab ko jante huwe bee
apnay har sawaal ka jawab mangta ha
ajeeb shakhas say khushion ko daman main lay kar
khushion kay bheek sare-e- bazaar mangta h a
ham mot kee dehleez main hain janta ha jan ha hamin
pagal ha meary ruknay kee dua mangta ha
………………………………………………………………………………………
Channd kay sath meri baat na thi pehli see
raat ati thi magar baat na thi pehli see
ham teri yaad say kal shab be milay thay lakin
ye mulaqaat , mulaqqat na thi pehli see
ankh kion lot gayi khof say sehraon ko
kion kay is baar barsaat to na thi pehli see
ab kay kuch aur tarha kee thi udaasi un say
chand taraon kee ye baraat na thi pehli see
ishq nay pal main badal dee meri sari dunia
main nay dekha kay meri zaat na thi pehli see
………………………………………………………………………………….
Kahi say tera sath lay aaon
wasal ke chand raat lay aao
beth jaoo kisi dorahay par
mang kar tera hath lay aaon
kitini sadion kay bad boloon main
lab par ek teri baat he lay aao main
apni ankhon kee band galion say
annsuon kee barat lay aaon
itni pooja karii kay main aik din
apni zaat main teri zaat lay aaon
……………………………………………………………………………………
Dukh boltay hain
jab seenay kay andar sansoon kay darya doltay hain
jab mosam sard hawa main
chup see gholtay hain
jab aansu palkain roltay hain
jab sab awazain apnay apnay bistar par so jati hain
tab ahista ahista ankhain kholtay hain
dukh boltay hain
………………………………………..
Welcome to Authspot, the spot for creative writing.
Read some stories and poems, and be sure to subscribe to our feed!