Bohat Mudaton Baad.
Bohat dino kay baad teray khat kay udas lafzon nay
teri chahat kay zaiqon kee tamam khushbu
meri ragon main andel dee ha
bohat dino kay baad teri batain teri mulaqatain unki dhanak say dhakti ratain
ujar ankhon kee piyas pa taal kee tehlon main
wasaal wadon kee chand chingaaarin ko saans kee anch day kam
shareer shalown kee sarkshi kay tamam tever sikha gayi hain
teray mehkatay huwe mohan lafzon kee absharain muj ko rula gayi hain
bohat dino kay baad main nay socha to yaad aya
kay teray andar kee rakh kay dher par teray zamany likhay huwe hain
bohat dino kay baad main nay soch ato to yaad aya
kay teri yaadon kee karchina muj say kho gayi hain
teray badan kee sari khishboo bikhar gayi ha
teray zamany kee chahtain sab nishania sab sharatain
jo kabi hunar main khiyal thi sab khawab ho gayi hain
bohat dino baad yaad aya to
kay main kitni badal gayi hoo
bichar kay tuj say kai lakeeron main dhal gayi hoo
Currently there are no comments related to "Urdu Poetry". You have a special honor to be the first commenter. Thanks!
Welcome to Authspot, the spot for creative writing.
Read some stories and poems, and be sure to subscribe to our feed!